Social media se dur kaise rahe?
आज की इस पोस्ट में आप जानेगे की आपकैसे आसानी से सोशल मीडिया और इंटरनेट के नशे से बच सकते हैं।Namaskar Dosto, Jaisa ki Hum log jannte hee hain aaj duniyan ke saath apne desh bharat mein bhi internet users ki sankhya lagatar badh rahi hain aise mein jitne net chalane wale users utane hee Social media like; Facebook, whatsapp, instagram, youtube use karne waale log bhi chaar guna teji se badh rahe hain. Ab mein jis gambhir vishay ki baat kar rha hoon. Uska Naam hain “social media addiction” . Ess problem Se aaj har koi insaan chahe wo kitna hee useful, productivity ka kaam kyon naa kar rha hou mobil/pc par lekin ek time aisa aata hain ki vou ess internet web ke algorithm mein Buri tarah fas jataa hain. Ab New smartphone user ko ye janakari nhi hoti kee ess problem ko kaise solve kare Ya deal kare. Tou dosto Aaj mein apna personal real-life experience aapke saath Share karungaa jisase aap ess algorithm ke jhaal me naa fasse. Aur apna Pura time bina distract huye internet se related kaam kar sake.
Social media or internet Addiction Hone Ke 5 Reason
- Aapko ess baat ka knowledge nhi hain. Ki Chahe Google hou ya Apple, Facebook hou Ya Youtube, Enn Sab ka Algorithm Aisa hee design kiya gaya hain jisase ki jyada se jyada time user ennke platforms par spent kare. Jitna jyda log enake Application/Service par rukenge utnaa jyada enko munafa honga.
- Aapko aisa lagtaa hain Ki 5-minute social media check kar leta hoon. Usase kya fark padtaa hain. Lekin Hakikat Ye hain ki ye 5 minutes Kab Paanch Ghante Mein Badal jaate hain aapko pata bhi nhi chaltaa.
- Aapko Ess baat ka Gyan hain ki internet gyan ka bhandar hain But Aapko Ye malum nahi hain kee Internet Ka durupyog Aapka Pura Jivan barbad ya khatm kar saktaa hain.
- Aap physically ya digitally koi aisa kaam kar rhe hou jisame aapko interest Nahi hain. Kyuki jab aap apni ruchi ka kaam nhi karte tou. Net par Timepass karne kaa man hota hain. Aur aap khud ess addiction ke Nirmata bante hou.
- Aapne abhi tak apne Jivan Ka Lakshay/Uddeshay nhi banaya kyuki jou Ensaan apne Goals & Dreams Bana leta hain. Wo bhale Kuch samay ke liye distract hou jaaye lekin kuch dino/Mahino ke baad Wo phir se Bounce Back kar leta hain. Matlab Phir se apane kaam me lag jaata hai.
Distraction se kaise bache? 6 तरीके
#1. App Notification Band Kare
Aapke phone mein bahut saari aisee Apps Install hain. Jinke Notification ki aapko jarurat nahi hain. Unn sabhi Application Ko Phone Setting mein jaaye > Manage Apps > usake baad notification ka option dikhega > abhi aap unn sabhi unimportant & Unnecessarily Apps ki notification band kar dijiye. Vishwas maniye ess ekmatra Trick se aapka 1 se 2 gante ka amoolya samay ki bachat hou jaayegi. Baar baar msg ki ghanti bajne se hum apne important kaam ko chhodkar faltu task ko complete karne lag jaate hain.
#2. Youtube App Disable Karo Ya Search history off karo
Jab bhi baat Internet or social media addiction ki aati hain tou ussame sabse top mein naam Youtube Kaa hee aata hain. Agar Aap Mujhe Puche Ess puri Duniya mein ess Samay Sabse jyada addictive Social media application konsi hai? tou mera aur anya sabhi Buddhimaan Log aapko yahi kahenge kee “Youtube”. Abhi mein aapko youtube ki Lat ya nashe se bahar nikalne ka ek badhiyaa rasta batata hoon; sabse pahale baat karte hain disable kee tou aapko pata hee hain. Ye Youtube By default sabhi android phone mein installed hota hain esse hum ‘Uninstall’ Nahi Kar sakte hain. Esaliye eska solution hain. Kee Aap setting mein jaakar Eska Saari notification band kar le, usake baad Dusri baat Search history band kar de. Kyuki jab bhi aap kuch search karte hain. Tou Youtube aapko ussi se relate videos Recommend Kartaa hain. Jab Youtube App ke Settings mein Jakar > ” Search history ko off “
Kar lete hain tou usske baad aapko sirf vahi videos dikhenge jin channels ko aapne subscribe kiya hain. Ek Bonus Tips aur hain – Aap Unn Yt channels ko bhi unsubscribe kar de jinki aapko jarurat nahi.
#3. Unwanted System Apps Ko Hide ya delete Kare
Jaisa ki aapko pata hee hain jab bhi market se new smart purchase karte hain tou ussame ‘Pre-installed’ Bahut Saare Apps Aa jaate hain. Jinki hume koi jarurat nahi. Ye Apps Phone per bad impact daaltaa hee hain Essake alava Aapke Distraction Ka karan bhi bantaa hain. System apps ko hide ya delete karne ke kuch tips;
- Agar App Xiomi Users Hou tou > Play store mein jakar ” Hidden setting for Miui ” search kare > sabse pahle hee app aayega uska photo aap neeche dekh sakte hain. > Ess app ke manage application mein jaake aap uss har app ko apne phone se hide kar sakte hain jinhe aap remove karnaa chahte hain.
Other Mobile users ke liye Google Ka digital Wellbeing app se aasani se uss app ko pause kar skate hain > jise aap phir open nahi kar sakte hain.
याह पोस्ट पढे: System app kaise delete kare | सिस्टम ऐप कैसे अनइंस्टॉल करे?
#4. Flight Mode ka use karke
Har phone mein flight mode aata hain. Mera vyaktigat anubhav raha hain kee jab bhee me kuch important kaam kar rha hota hoon. Uss samay mein phone ko flight mode mein daal deta hoon. Jisase wo kaam me kuch hee minto mein khatm kar deta hoon.
#5. Do Not Disturb Mode ka use Karke
Do not disturb mode ko “DND’ mode bhi kahte hain. Esako on karne se aapke phone ke sabhi sound systems jaise; phone call, system sound, app msg sound sabkuchh silence hou jaate hain vah incoming calls bhi receive nahi hoti jisase aap bina distract huye apne kaam ko kar sakte hain.
#6. Google Digital Wellbeing Ka Use Kare
Thanks, Google! Ye Social media or internet ke algorithm, Distraction, Addiction se bachne ka sabse badiya tarika hain ess app ko google ne banaya hain. Ess baat ka bhi dhyaan rakhe bahut saare devices mein ye setting ke andar hee by default hota hain. Aise mein ek baar check jarur kar le. “Digital Wellbeing” ko play store se download kare. Ab esake fayde kya hain?
- Eske Jariye Aap apne pure din Ka phone usages ka data dekh sakte hain. matlab aapne konsa aap kitne time use kiya. Ess Data se aapko pata chal jaata hain kee mene pure deen mein kitna time waste faltu ke apps chalane mein kiya aur kitna Time utilization useful apps ko chalane mein kiya
- digital wellbeing ki madad se aap Apne sabhi unn system apps ko pause kar sakte hou aapki echaa-anusaar. Jab apps ko pause kar lete hain tou aap usko open nahi kar sakte hain.
- Ess digital wellbeing app ne meri bahut jyda help kee hain social Media ke nashe se bahar nikalne mein. Aap bhi aaj hee install kare vah eaka Fayda uthaye.
Social media से बचने के 3 आजमाए हुए उपाय
निम्नलिखित तीन उपाय मैं खुद व्यक्तिगत रूप से उपायोग करता हूँ
[1.] अपने घर व ऑफिस से दूर जाए
दुनिया के सभी सफलतम लोग ऐसा ही करते हैं। जब भी वे किसी काम को अपने घर या ऑफिस में नही कर पाते तो अपने शहर में ही किसी अन्य लोकेशन पर एक से दो दिन के लिए कमरा (होटल) बुक कर देते या किसी पार्क में जाकर अपना काम पूरा करते हैं फिर घर आ जाते हैं। सच बात बोलू तो ये ट्रिक उन लोगो के लिए वरदान साबित हो सकती है जो महीने का 5000 से 10,000 रूपये कमा रहे हैं। और नेट के Distraction की वजह से अपना काम नही कर पा रहे। ऐसे में आप भारत के किसी भी सुंदर व शांति वाले शहर में जाकर कुछ दिन रूककर अपना कार्य कर सकते हैं और घर आकर अपनी सफलता को एन्जॉय कर सकते हैं।
[2.] सुबह उठते ही वो काम करे जो आपको पूरे दिन करना है
यह मेरा व्यक्तिगत अनुभव है और मिलियन डॉलर कमाने वाले व्यक्तियों की विचारधारा भी यही है। कि जिस भी काम को आप खत्म करना चाहते हो , उसको आधे घण्टे से एक घण्टा सुबह सुबह मन मारकर कर दो, फिर जादू देखना आपको पूरे दिन वो ही काम करने का मन करेगा। और आप सोशल मीडिया से दूर हो जायेगे, आपको बिल्कुल भी मन नही होंगा नेट पर अंडशंड कंटेंट कंज्यूम करने का।
[3.] सप्ताह में एकबार मोबाइल ना चलाने का व्रत ले या फिर एक यात्रा करे
ये दोनों ही काम आपको सोशल मीडिया से दूर करने में मदद करेंगे। भारत में यात्रा करने के लिए एक से बढ़कर एक प्रसिद्ध दर्शनीय स्थल है। जहाँ पर मोबाइल चलाने की जरूरत नही है क्योंकी फिजिकली मनोरंजन के लिए बहुत सारी जगहे मौजूद है।
Ess tarah aapne aaj bahut kaam ki jankari prapt kee. Mujhe puri umeed hain ess post mein bataye sabhi tips and tricks ko implement karke aap internet pr social media ka 100% utilization kar paayenge vah apne Life Ke Saare Goals & Dreams Ko Pura karenge.
ये पोस्ट पढ़कर इंटरनेट के नशे से बाहर निकलो